Parwane aur shamaa
Duniya ki bheed se door,
Jungle ke ek kone me,
ek patanga rehta tha…
Thoda sa paagal, thoda da maasoom,
bas apni dhun me rehta tha,
naa thi fikar kisi ki,
naa koi usko apna kehta tha…
ghumna din bhar jungle me,
aur masti karna bas dil me rehta tha…
ek din apne raaste se bhatak kar,
reh gaya ek khidki pe atak kar,
aankhe fati ki fati reh gayi,
palke maathe se sati ki sati reh gayi..
saamne uske ek diye pe shama jal rahi thi,
har saans ke saath patange ki jaan nikal rahi thi….
har lamhe ke saath wo deewana ho raha tha,
shamaa ka husn usey bin paani dubo raha tha…
Patange ka dil shama par aa gaya,
banjar zamee par mano baadal chha gaya..
usey paane ki hasrat dil me basti chali gayi,
har jhalak ke sath ishq ka jaal kasti chali gayi…
Patanga har shyaam shamaa ko dekhne aane lagaa,
Parde ke piche se uski jhalak paane lagaa…
har pal bas wo shamaa ko pane ki sochta,
usey jee bhar ke dil se lagaane ki sochta…
Patange ke dosto ne samjhaya usey,
chaha usey jisne bhi, jalaya usey..
Door reh us se, maara jayega,
Dil ke khel me, haara jayega….
Par patange ke dil me uske pyaar ka joonun tha,
usey paa zindagi bhar chahne me hi sookun tha…
Dil me thaan wo nikal padaa, paane usey,
kitna karta hai pyaar, batane usey…
pahuch kar khidki ke pass, patange ne dekha usey….
Shamaa ka husn kamre ko chamkaye baitha tha,
Naa jaane kitni aag badan me chhipaye baitha tha…
kadam badhane se pehle ruka wo pal bhar ke liye,
Theek hai kya uska faisla, parakhane ke liye..
ek taraf Jungle tha, ek taraf pyaar tha,
ek taraf shamaa, toh ek taraf parvana marne ko taiyyar tha…
sab kuch bhula wo shama ki aur badhne lagaa,
chhune ko ek baar usey, dil machalne lagaa..
naa jane kitni raate usne uski yaad me bitayi thi,
aur naa jaane kitne khwaab usne uske liye sajaaye the…
paas aate hi Shamaa ne Patange ko aagosh me bhar liya,
ek hi pal me haste huwe Patange ko khaamosh kar diya…
Shamaa ne apne masoom diwaane ko raakh kar diya,
Saare khwaab, saare Ishq ko khaak kar diya…
Pata tha Patange ko,
Shamaa se Ishq usey marwayega,
Par kya karta, ye bhi pataa tha ki,
Shamaa ke bin wo Jee bhi nahi paayega..
Aaj Zamee par Patange ki raakh tak ke nishaa nahi,
Aur Shamaa waisi hi hai, Jaise maano usey koi fark padta hi nahi…
Saayad yahi Zindagi ka dastoor hai,
yaha har koi, Iss Ishq ke aage majboor hai…
-